Tum se Aap ka safar
Agar tum nah hote, toh kon hota Har waqt pyaar se dekhnewala, Har ghadi mujhe pukarnewala, Ek nazar dekhu to, muskurahat denewala. Chahakar bhi Ruth na pati, Aapki baaton main hi wo jadu hai Pyaar se ek awaaz lagakr , Pani lana khe dete ho, Sari shikayate hi dur kar dete ho. Kya hai aisa tum main Jo dusron main kabhi parakh hi ni payi. Nazar uthake jab dekhu, Aapse juddi hui hi khudko payi Jab nahi hote sath mere tum Tumhari yaadein itni anmol hai Ki unmain bhi Gunjji aawaz aapki payi.